TAREEF SHAYERI







Khoobsurti ShairY:                                                       

1.Dhudh Si Rangat Aur Chandni Mein Nahaai Hai
Chehra Hai Bhola Aur Aankhon Mein Sachaai Hai

Ajab Shahud Si Mitthas Aati Hai Uski Baaton Mein
Aur Hasi Jaise Koi Ras Ki Ghagar Chhalak Aayi Hai

Hai Sharm..o..Hayya Ke Pardon Mein Lapate Hue
Sar Se Paanw Tak Bas Shaadgi Mein Samaayi Hai


Us Jaisa Haseen Kon Hai  Bhala Is Duniya Mein
Insaan Hokar Bhi Pariyon Si Khoobsurti Paayi Hai

Aisa Rang Chadha Hai Mujhpe Uske Pyar Ka Shihab
Ki Meri Rag Rag Main Bas Wahi Woh Samaayi Hai


Aapke deedar ko nikal aaye hai taare
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare
Ki chhup chhup ke chand bhi bas aaphi ko nihare


AAP ME KUCHH BAAT HAI
AAP AURON SE KUCHH KHAAS HAI
AAPKI TAREEF ME KYA KAHOON
AAPKE AAGE CHAND KI KHOOBSURTI BHI BEKAR HAI


Dil ki nahi jaan ki jarurat ho tum
Zami ki nahi aasmaan ki inayat ho tum
aur ab hum kya aapki tareef kare
Husn ki nahi kayamat ki murat ho tum


Aapki hasi pe chhidakte hain hum jaan
Aapki khushi pe toh hai sab kuch kurbaan
Aapke bin toh ye jahan lage veeran
Kyuki aap toh hai jaise is dil ka gulistaan


Din ki ye tapti dhoop
Us par ye aapki baatein khoob
Dil se muskurate mere mehboob
Dekha nahi pehle aapka ye sunehra roop


Aap chahe bole jo bhi boli
Aap toh hai is dil ki humjoli
Ab chahe ho mausam mein diwali ya holi
Aapki muskan toh bana deti hai rangoli


Woh aapka palke jhuka ke muskurana
Woh aapka nazarein jhuka ke sharmana
waise aapko pata hai ya nahi hume pata nahi
Par is dil ko mil gaya hai uska nazarana


Aapko dekhar aati hai baharein
Aapko dekhkar chhate hai sitare
Aap hi ko dekhkar khil jate hai phool
Lagta hai aapko banane mein
Nahi hui rab se thodi si bhi bhool


mere khwabo ki malika hai tu
na tujhme kahin koi kami hogi
jo na bhi hua tere pass koi
roop ka khazana toh kya
hai yekeen ye mujhe
dil ki tu sabse haseen hogi


TERI HAR SUBA MUSKURATI RAHE
TERI HAR SHAAM GUNGUNATI RAHE
TU JISE BHI MILE ISS TARAH SE MILE KI
HAR MILNE WALE KO TERI YAAD SATATI RAHE


KISI KO PAAS AANE MEIN WAQT LAGTA HAI
KISI KO APNA BANANE MEIN WAQT LAGTA HAI
JAB MANGA KHUDA SE APKO
USNE KAHA "ANMOL CHEEZ PANE MEIN WAQT LAGTA HAI"


Na tasvir hai tumhari jo didar kiya jaye
na tum paas ho jo pyaar kiya jaye
ye kaun sa dard diya hai aapne
na kuchh kaha jaye, na tum bin raha jaye


SAB KUCH MILTA HAI BAS EK "KHUDAI" KE SIWA,

ZINDAGI BAHUT PASAND AAYI EK "RUSWAI" KE SIWA,
MERI CHAHAT KA EHSAS BHI NA KAR SAKO GE TUM,
US KI HAR ADA PASAND HAI KE "BEWAFAI" KE SIWA.


Tumse milkar aisa laga jaise barson purana tumse koi naata ho
aisa laga ke sadiyon ke baad yeh dil phir ek baar dhadka ho
Na jaane kis janam ka rishta hai tumhara mujhse
aisa laga ke barso pehle tumhe kahin dekha ho
Jee gaye hum phir, the tanha akele is duniya me
aisa laga ke phir koi jeene ki wajah de gaya ho
Tumhe paane se laut aayi khushiyan saari meri zindagi me
aisa laga ke khud uperwaala tumhare libaas me zameen per aaya ho


UNKI ANKHO SE KASH KOI ISHARA TO HOTA
KUCH MERE JEENE KA SAHARA TO HOTA
TOD DETE HUM HAR RASM ZAMANE KI
EK BAAR HI SAHI USNE PUKARA TO HOTA


mere khyaalon se shayad woh sharmaati hogi
neend magar usko bhi nahi aati hogi
chand ki khud koi roshni nahin hoti
yeh sochkar woh aur bhi itraati hogi
kabhi kankhiyon se dekhkar
kabhi titliyon se khelkar
dhadkanein uske dil ki bhi badh jaati hogi
nadi ko dekhkar behak jaati hai
uski baaton mein rawaani chalak aati hogi
khair ki bijli phalak pe kadakti hai
yeh sochkar woh aur bhi seham jaati hogi
mera jikr kabhi to aa jaata hoga
ki woh apne aapme simat jaati hogi
yeh zindagi kitni choti hoti hai
pal bhar mein zinda pal bhar mein mar jaati hogi


Chingari ka khauf na dena hume
apne dil me aag ka dariya basaye baithe hain
jal jate kab ke is aag mein
par tere didar ki khatir is dil ko sambhale baithe hain


Jo Dekhe Chehra Unka Jo Meri Aankhon Mein Hai
Wo Sab Haseen Chehron Ko Bhoola De
Agar Wo Thook De Samander Mein
Namkeen Paani Ko Bhi Meetha Banaa De
Aisa Hai Unka Husn Main Kya Bataaon Tumhe
Unki Awaaz Se Kabar Pe Sone Walon Ko Bhi Jagaa De
Taareefein To Bahut Niklengi Unki Shaan Mein
Unka Geet Sunakar Kisi Rote Ko Bhi Hasaa De
Aisi Hai Meri Mehbooba Jise Sab Hoor Kehte Hain
Jab Hum Katal Honge Unke Haathon Se
Duniya Kahegi Ke Uske Saath Hume Bhi Mitaa De
Aisi Hai Meri Mehbooba Jiski Tareef Farishte Bhi Karte Hain
Jiska Chehra Dekhte Hi sab Apne Gham Bhoola De


NA GUJARNA EID KE DIN KISI MASJID KE SAMNE SE
KAHIN LOG CHAND SAMAJH KAR ROJA NA TOD DE
HOKAR KHAFA KUDHA TUMSE KAHIN
CHAND JAISA CHEHRA BANANA NA CHHOD DE


taare raat mein jagmagate hain
subha ko jane kaha woh gum ho jate hain
andhere mein asman ka rang woh dekhte hain
neeli chadar par woh sare timtimate hain

raat hai andheri or sunsan si
charo tarf chhayi hai ek virani
khamosh ho kar bhi ye hava kuch hai keh rahi
andhere mein rasta kisi ka jaise dhundti
taare apni roshni se raah hain dekhte
subha ko jane kaha woh gum ho jate

taare kitne pyare lagte hain sang hamare
chand to hai adhura akash mein
sang na hon agar ye sare
dekho to asman mein chamkile phool bikhre huye
lagta hai phoolo mein bhi deep jal rahe


Chehra Tera Chan Ton Vi Sohna
Sohni Hai Teri Chaal Sohniye
Tikhe Nain Katari Varge
Lai Gaye Ne Dil Mitraan Da Naal Sohniye


phoolon mein hoti hai wo khushbu
jo man ko bhaa jaati hai
jo is man ko chhute hi
ek madhur geet ban jaati hai
vibhinnataa hoti hai rango mein inke
jinki man mein tasveer ban jaati hai
in phoolon mein hoti hai itni kashish
jo har dil ko lubhaa jaati hai
jab inhi phoolon ko joda jaye
to ek manmohak maala ban jaati hai
jise arpit karo bhagvaan ko
to ye araadhana ban jaati hai
jise arpit kar do shaheedon ko
to yahi shraddhaanjali ban jaati hai
ye hai wo sundar phoolon ki daastaan
jo har dil mein samaati hai .........

No comments:

Post a Comment

^ Scroll to Top