Showing posts with label SHAYERI. Show all posts
Showing posts with label SHAYERI. Show all posts

Wo Jo Aaye Hain Aaj Lout Ke Phir

















Wo jo aaya hain aaj loot ke phir,
Dil ki dunia me phir bhar aayi…!

Aaj laya hai sari khushiyan wo,
Mere chaihre pe bhi hansi aayi…!

Kya mohabbat isi ko kehte hain,
Uske aane se hi bhar aayi…!

Jabse aaya hai meri duniya me,
Mujhpe lagta hai Be-khudi chaayi…!

Usko karti hun pyar itna mai,
Saari duniya ko pichai chod aayi…!

Ab to gina hai uski banhon me,
Apni khushian sabhi paayi haii…!

Kitna piyara hai ye hansin lamha,
Jaise jannat zaameen pe hai aayi…!

Ta qiyamat rhai nzaara ye,
Dua rab se labb pe yehi aayi…!

Sab ko mil jaye apna pyar yun hi,
Jese Bibbo ne hai wafa paayi…!!..!!!

ROMANTIC SHAYARI

ROMANTIC SMS

Mere Dil me tere aarzu-e-mahobbat jalti rahegi, nazron se meri ashq chalakte rahenge, Aap Chiraagh bankar Dil ko roshan to karo, hum to MOM bankar pighalte hi rahenge.



Aapki Nigahon me jabse jhaakkar dekha hai, koi bhi Aaina accha nahi lagta, Aapki Mohabbat pe aise hue hai Aashiq ki aapko koi aur dekhe to accha nahi lagta
Ek nazar hamari ek nazar tumhari, nazar ne Dil ki nazar utari, Nazar ne dekha nazar ko aise ki, kabhi nazar na lage Mahobbat ko hamari.




Asar hai ye unki adaao ka, jab wo itne pyaare lagte hai, Jab wo kahte hai vadda hai mera, juthe waade bi sachee lagte hai.




Ishq khuda hai aur mera ishq ho tum, Khuda mere sath hai aur uski khudai ho tum.




Ess Duniya se tumse pahle main chala jaaonga, aasmaan par jakar ek aashiyana banaunga, Jahan Chand aur Taare tumara kahna manega, wahan main tumahare pyaar ka jahan sajaunga. 




Mera Dil jisne toda wo ek haseena thi, ab zindegi bhar mujko aansuu peena hai, Saath agar wo deti to main jee leta, uske bin jeena bi koi jeena hai.




Har kisi ko mahobbat mile zaruri to nahi, har ankhon ko khuaawab mile zaruri to nahi Khuda ki adate hai intihan lena, har intihan hum pass ho zaruri to nahi.
Khafa rah kar tum bhi na rah paoge, Jaan to jaegi hamari, saans tum bhi na le paoge.




Bahar aanee pe khilte Gulab dekhe hai, haseen Dil churate, behisab dekhe hai. Jahan Gulab ke sang lipte Karr dekhe hai, wahin Mohabbaton me bhi kaanton ko khilte dekhe hai




Nazre unthi to Dua ban gayi, nazre jhuki to Haya ban gayi, jo jhuk kar uthi to khata ban gayi, aur uth kar jhuki to Adaa ban gayi




Aadat nahi hai meri bhoolne ki, yaad-dasht chali jaye to aur baat hai, Aapki yaad aati hai Dhadkan ke saath, agar meri Dhadkan hi ruk jaaye to aur baat hai.

Sher O Shayari


Chiraagh bankar

Mere Dil me tere aarzu-e-mahobbat jalti rahegi, nazron se meri ashq chalakte rahenge,
Aap Chiraagh bankar Dil ko roshan to karo, hum to MOM bankar pighalte hi rahenge.
Chiraagh
_I hope you have enjoyed this Romantic shayari.

Aapki Nigahon me

Aapki Nigahon me jabse jhaakkar dekha hai, koi bhi Aaina accha nahi lagta,
Aapki Mohabbat pe aise hue hai Aashiq ki aapko koi aur dekhe to accha nahi lagta.
Aapki Nigahon
_I hope you have enjoyed this Romantic shayari.

Aashiyana banaunga

Ess Duniya se tumse pahle main chala jaaonga, aasmaan par jakar ek aashiyana banaunga,
Jahan Chand aur Taare tumara kahna manega, wahan main tumahare pyaar ka jahan sajaunga.
Aashiyana
_I hope you have enjoyed this Romantic shayari.

Mera Dil jisne

Mera Dil jisne toda wo ek haseena thi, ab zindegi bhar mujko aansuu peena hai,
Saath agar wo deti to main jee leta, uske bin jeena bi koi jeena hai.
Mera Dil
_I hope you have enjoyed this Romantic shayari.

Har kisi ko

Har kisi ko mahobbat mile zaruri to nahi, har ankhon ko khuaawab mile zaruri to nahi
Khuda ki adate hai intihan lena, har intihan hum pass ho zaruri to nahi
Har kisi
_I hope you have enjoyed this Romantic shayari.

Haseen Dil

Bahar aanee pe khilte Gulab dekhe hai, haseen Dil churate, behisab dekhe hai.
Jahan Gulab ke sang lipte Karr dekhe hai, wahin Mohabbaton me bhi kaanton ko khilte dekhe hai.
Haseen
_I hope you have enjoyed this Romantic shayari.

ROMANTIC

ROMANTIC SHAYAR

Tera Dard Bhi Kimati Hai Mere Liye Mere Mehboob
Tere Diye Har Dard Ko Maine Seene Se Laga Rakha Hai, Bewafai Ke Har Aansoon Ko Palkon Mein Chupa Rakha Hai, Tera Dard Bhi Kimati Hai Mere Liye Mere Mehboob, Kyon Ki Kuch Logon Ne Pyar Ka Naam Khuda Rakha Hai. 

 Haan Ye Mohabbat Hai…

Dard-E-Ulfat Sehna Bhi Mohabbat Hai,
Kisi Se Door Rahna Bhi Mohabbat Hai,
Dil Ki Baat Zuba Se Kehna Zaroori Nahi,
Kisi Ki Yaad Mein Chup Rehna Bhi Mohabbat Hai.

Ek Dil Ek Dil Par Marta Hai Kyon ?

Ek Dil Ek Dil Par Marta Hai Kyon,
Phir Bhi Izhaar Karne Se Darta Hai Kyon,
Dar Hai Usko Zamane Se Kahi Bagawat Na Kare Koi,
Chahat Mohabbat Ki Khilafat Na Kare Koi,
Phir Bhi Raah-E-Pyaar Pe Kadam Badhta Hai Kyon,
Pyaar Karna Zurm Nahi Zamane Ko Batade Koi,
Mohabbat Ka Matlab Kya Hai Sabko Samjhade Koi,
Khilaf-E-Ulfat Mein Koi Padta Hai Kyon,
Jite Ji Koi Rok Na Sakega Aisi Chahat Hai Meri,
Zamana Jalta Rah Jayega Aisi Mohabbat Hai Meri,
Nafrat Ki Galion Se “Sujeet” Gujarta Hai Kyon


Tera Dard Bhi Kimati Hai Mere Liye Mere Mehboob


Tere Diye Har Dard Ko Maine Seene Se Laga Rakha Hai,
Bewafai Ke Har Aansoon Ko Palkon Mein Chupa Rakha Hai,
Tera Dard Bhi Kimati Hai Mere Liye Mere Mehboob,
Kyon Ki Kuch Logon Ne Pyar Ka Naam Khuda Rakha Hai.

Aye Khuda De Aisa Humsafar…
Muqadar-E-Ghum Banaya Teri Ik Khushi Ke Liye,
Apni Har Sans-O-Dhardkan Thami Teri Zindagi Ke Liye,
Tujhe Mila Mujh Jesa Par Jahan Mein Nahi Koi Tujh Jesa,
Sabaq Pana Chahiye Zamane Ko Tujhsi Hasil-E-Sadgi Ke Liye,
Har Naveed-E-Mehfil Se Hoye Pare Kisi Bhi Saza Se Na Dare,
Har Dasht-E-Tanhai Ko Lagaya Gale Hum Ne Khud Hi Ke Liye,
Jo Bana Raha Kafir Jis Ne Apni Nafrat Hi Karayi Zahir,
Aye Dost Salamat Hai Meri Mohabbat Usi Ke Liye,
Jo Faqt Ghum-E-Hijran De Pal Mein Tamam Zaat Ko Fana Karde,
Aye Mere Rab Aisa Mehboob Nahi Banana Sab Hi Ke Liye,
Jis Ke Liye Qayenat Chodi Jis Ke Liye Apni Zindagi Duboyi,
Usi Shaks Ne Juda Kiya Khud Se Mujhe Aur Kissi Ke Liye,
Sujeet Ko Jo De Achi Soubat Kare Jo Be Inteha Mohabbat,
Aye Khuda De Aisa Humsafar Jo Banaya Hai Tu Ne Mujh Hi Ke Liye.Muqadar-E-Ghum Banaya Teri Ik Khushi Ke Liye,
Jaroor Kabhi Tu Mujhe Bhi Yaad Karti Hogi
Fansi Tere Dil Mein Atakti Hogi,
Tere Sine Mein Bhi Ek Aag Bhadakti Hogi,
Raat Bhar Tumko Bhi To Nahi Aata Hoga Karar,
Hizra Mein Meri Tarah Tu Bhi Sisakti Hogi,
Juda Hoke Mujhse Kabhi Khush Na Rahegi Tu,
Tere Dil Se Bhi Lahu Ki Bundein Tapakti Hogi,
Tujhko Chaha Bhi Maine Jaan Se Badhkar,
Us Wafa Ki Yaad Mein Teri Aankhein Bhi Roti Hogi,
Khud Ko Bhul Gaya “Sujeet Tujhe Yaad Karne Mein,
Jaroor Kabhi Tu Mujhe Bhi Yaad Karti Hogi,,

BEWAFA

Bewafaiii ki zindagi






 Hate takes alot of Love;
 I’m always wondering, why I’m still seeking for someone that will make me complete, someone who will promise not to leave beside me.. someone who will love me more that I love him.but it is always be a fairytale. and now I my see my self in the dark and always carrying this broken heart and i accept the truth about me, that no one will dare to share their “LOVE” with me.

bewafa sanam shayari;

Mila wo bhi nahi kerte, mila hum bhi nahi kerte
Bewafai wo bhi nahi kerte, bewafai hum bhi nahi kerte



UnhAin ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai
gila wo bhi nahi kerte, gila hum bhi nahi kerte
 
Gali k kisi morr pe akser takrao ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi kerte, ruka hum bhi nahi kerte

 Unhain jab dekhte hain sochte hain kuch kahain un se
suna wo bhi nahi kerte, kaha hum bhi nahi kerte

Humain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain
raha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte.


Bewafa Dost Shayari 

Dil Mein Jo Aaya Woh Likh Diya.

Kabhi Milan Kabhi Judai Likh Diya 
Pehli Baar Mile The Yahan Hum
Un Raahon Ka Naam Manzil Likh Diya

Kiya Tune Tar Tar Mera Daman
Ja Maine Bhi Tujhe Bewafa Likh Diya

Ishq Ka Janoon Thaa Ya Deewanapan
Jo Apni Saanso Ko Tere Naam Likh Diya

Teri Judai Hai Ab Mukaddar Mera
Is Zindagi Ka Naam Intzaar Likh Diya

Dard-E-Mohabbat Ke Siva Shayari Hai Kya
Ja Tera Naam Hamne Gazal Likh Diya

Dafan Ho Gayi Har Aarzoo Seene Mein
’someone’ Ne Jabse Tujhe Sanam Likh Diya
Bewafa sayeri :-

—————————————-
Dariya wafaoo ka kabi rukta nahi,
Mohabat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hai kisi ki khushi ke liye,
aur wo sochte hai dil hamara dukhta nahi.
—————————————-
Apno ne Zehar ka jaam de diya,
Gairon ne Bewafa naam de diya.
Wo jo kehte they bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari MEHFIL me ANJAAN keh diya….
————————————————-
Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai, jo aaj hai aankhon mein aansoo,
Saza mili hai humein muskurane ki !
————————————————
Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke liye to gam aur badh gaya.
—————————————————


Bewafaii..


Ansoun ki tarha nazaron se giraya us ne,
Apni khabar na mili kuch aisay khak me milaya us ne..

Ilzam mujhe pe lagaya magar bewafa khud tha,
Pehle dewana Banaya phir mujhe thukraya us ne..

Us ko maza ata hai mujh ko sataney me,
Mujhe geeli lakri ki tarha jalaya us ne..

Aya na tha us ko wada wafa karna,
Logon ko jhoti wafa ka qisa suanaya us ne..

Tanhaion k dard se khoob waqif tha wo,
Phir b duniya me mujhe tanha Banaya us ne…


BEST BEWAFAI SAYERI

Kal jo apne the
Woh begane nazar ate hain
Dil badalte hain
To chere bhi badal jate hain


Tum bhi wohi ho
Yeh dil bhi wohi hay
Chera sajaya to kiyaa
Daman churaya to kiya

Cheray the tum ne
Tarane jo dil k
Gaati hay ab bhi fazaa
Deti hay tum ko sada

Zehar bhara jaam hay yeh
Moun se na lagana
Duniya hay bewafa
Yeh duniya hay bewafa

Pyaar bhi dhokha
Mohabbat bhi dhokha
Dhokha hay chahat yahan
Sajti hay surat yahan

Apne bhi joothe
Yeh sapne bhi joothe
Joothi hay rahat yahan
Joothi haqeqat yahan
Khuwaab sabhi tuut gaye.

Bewafayii sayeri

Kisi ko kisi ke isharon ne loota,
Kisi ko kashti ke kinaro ne loota.
Aap to darte ho kasam khane se,
Hame to aapki kasam dekar hazaro ne loota.
———— ——— ——— ——— ———
Zakham gahre the izhaar kya karte,
Khud hi nishana ban gaye war kya karte.
Mar gaye magar khuli rahi aankhen,
Isse jyada kisi ka intzaar kya karte.
———— ——— ——— ——— ———
Wafa ke naam se woh anjaan the,
Kisi ki bewafai se shayad preshan the.
Humne wafa deni chahi to pata chala,
Hum khud bewafa ke naam se badnaam the.

Bewafa shayaries



Katoon si chubhti hai Tanhai

Angaroon si sulagti hai Tanhai

Koi aa kar hum dono ko hosala de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai

Jab bhi tere sehar se nikalna chaha
Yaadoon ke beej bone lagti hai Tanhai

Raat ke kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai

Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai.


BEWAFA BEST SAYERI



tere bin main yun kese jiya…..
kese jiya tere bin……
lekr yaadien teri….
raatien meri kati…
mujh se baatien teri……
kerti hian chandni…..
tanha hai tujh bin raatein meri….
din mere din k jese nahi…
tanha badan tanha hai man num meri ankhen rahen………
aja mere ab ro barao…..
jeena nahi bin tere……
kab se ankhen meri…..
rahin mein teri beechi….
bhole se hi kabi tu mil jaye kahin…..
bhole na mujh se baatien teri….
bheegin hia har pal ankhen meri…
kyon saans loon….
kyon main jiyon…..jina bura sa lage….
kyon ho gaya tu bewafa….mujh ko bata de wajah………
tere bin main yun kese jiya….
.kese jiya tere bin……






Bewafa shayari2

*************************************************************************
Main ab khayalo mein teri tasweer banau magar kaise,
Tu hi bata haal-e- Dil tujhe sunau magar kaise,
*************************************************************************
Jo mahel banaye the khuwabon mein humne,
In mahlo mein Wafa ke deep jalau magar kaise,
*************************************************************************
Mohabbat Wafa Chahat sab toot chuke hai,
Ab main khud ko kisi khilone se behlau magar kaise,
*************************************************************************
Kitne chiraag jalaye tere intezaar ki aas mein,
Is Dil pe main aur sitam dhau magar kaise,
*************************************************************************
Apne aas paas jo tanhaiyo ke mele dekhe to khayaal aaya,
Tumhari tarha main bhi bewafa banjau magar kaise.

********************************************************

BEWAFA SAYERI VOLUME 5


*Usne kaha*
*tum mei pehli si baat nahi*
*maine kaha*
*zindagi mei tera sath nahi*
*usne kaha*
*ab bhi kisi ki ankhon main doob jate ho?*
*maine kaha*
*ab kisi ki ankh main woh gehraii nahi*
*us ne kaha*
*kyun itna toot kar cahaha mujhe*
*maine kaha*
*insaan hoon patthar tou nahi*
*us ne kaha*
*kia main bewafa hoon?*
*maine kaha*
*mujhe ab wafa ki talaash hi nahi
us ne kaha*
*bhool jaoge mujh ko?
maine kaha*
*tum haqiqat ho, koi khwaab nahi*
  
Bewafa sher

Sochta Hoon Iin Sagar ki Leharon ko dekh kar..
Kyun yeh kinaron se takrakar laut jaati hain…
Karti hain yeh kinaron se Bewafaai…
Ya phir Sagar se Wafa Nibhati hain….
““““““““““““““““““““““““““““““““`
“““““““““““““““““““““““““““““““““
Aaj Hum Unhe Bewafa Batakar aaye hai,
Unke Khaton ko paani mein Bahakar aaye hai,
Koi nikaal ke padh Na le unhe,
Isliye paani mein bhi Aag lagakar aaye hai….
“““““““““““““““““““““““““““““““““`
““““““““““““““““““““““““““““““““`
Dil Toh Jalkar Raakh Ho gayaa
Magar In Aankhon Se Roya naa Gayaa
Kuch Gam Judaai ke Aise Mile,
Ke Pholoon ke Bistar pe bhi Soya naa Gayaa.
““““““““““““““““““““““““““““““““““
“““““““““““““““““““““““““““““““““““
Har dil ka ek raaz hota hai
har baat ka ek andaaz hota hai
jab tak na lage bewafai ki thokar
har kisiko apni pasand par naaz hota hai.


bewafa poems

Toota howa shesha phir jora nahi jata
Aankh say nikla howa ansoo phir wapis nahi ata.

Tum tu keh ker bhool chukay ho sab kuch
Lekin mujhsay wo pal bhoolaya nahi jata.

Teri mohobbat ne zanjeerey dali hain esi
Ke churana bhi chahoon to choraya nahi jata.

Mehfil main bhi mujh ko tanhai nazar ate hai
Teray bin ye dil kahi or lagaya nahi jata.

Mere dil ki deewaroo par sirf tera he nam likha hai
Mitana bhi chahoon to mitaya nahi jata.

Saans ruknay say pehlay aik jhalak dikha jana
bewafa zindagi ka aitbar kiya nahi jata


 Bewafa

Mohabbat ki raahon mein hum sath hote

Soo dard milte phir bhi na roote

Kaash aap hamare hote

Keh na paaye hum dil ki baat ko

Sun na paaye tum dil ki baat ko

Har pal hum ko tarpayegeen yeh khamoshiyan

Yeh bhi sach hai tum bewafa nahi

Yeh bhi sach hai hum bewafa nahi

Yeh bhi sach hai chahat na milli hai yeh dooriyan

Iss dil ke aise tukre na hote

Kaash aap hamare hote

Toota meri chahat ka silsala

Shayad yeh tha kismat ka faisla

Hum shikwe or shikayat bolo kis se karein

Yeh na pocho kiya mere pass hai

Tanhai hai or Teri Yaad Hai

Toote dil se aahein bhi bharein to kab tak bharein

Hum apni halat pe aise na roote

Kaash aap hamare hote…
  
Bewafa Pyar

Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi
Tamashaei Hai Yeh Dunya Is Ke Siwa Kuch Nahi

Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai
Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi

Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar
Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi

Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar
In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi

Wade,Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna
Bewafai Hey Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi


Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya
Yeh Khel Hey Dunya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi

Tum Ko Chaha Hey Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke
Dunya To Hai Eik Sarab Is Ke Siwa Kuch Nahi.

^ Scroll to Top